top of page
  • hashtagkalakar

Aye Zindagi

By Nasheed Asad


Aye zindagi aahista chal,

Haar raha hoon tujhse dheere dheere.

Kahin aisa na ho tere roz roz ki thokaron se,

Meri saansein dum tod jaaye.

Abhi to kayi karz chukana baaki hai,

Abhi to kuch farz nibhana baaki hai.

Abhi to kayi sapne poore karna baaki hai,

Abhi to kuch rishte suljhana baaki hai.

Aabhi to kayi se dil lagana baaki hai,

Abhi to kuch se dil tudwana baaki hai.

Aye zindagi aahista chal,

Haar raha hoon tujhse dheere dheere.


Yun agar hota to kaisa hota,

Jo tu cheen leta meri saansein kokh me,

Par aisa bhi tujhse kaise hota,

Jo tu de deta saare gham uss kokh ki rakshak ko,

Par ab zindagi diya hai to aahista chal.

Abhi to sirf chalna seekha hai,

Abhi to daudna baaki hai.

Abhi to roothon ko manana baaki hai,

Abhi to roto ko hasana baaki hai.

Iss saans par haq hai jiska,

Abhi to usko samjhana baaki hai.

Aye zindagi gale laga le,

Haar raha hoon tujhse dheere dheere.





Ye zindagi nahi aasaan itna to samajh me hai aata,

Tujhe mujhme doobna nahi aata,

Mujhe tujhpe tairna nahi aata,

Par ab khada hoon teri chaukhat pe to aahista chal.

Abhi to kisi ke dard ki dawa banna baaki hai,

Abhi to kisi ka marham banna baaki hai.

Abhi to kuch thokarein aur khana baaki hai,

Abhi to tujhe jhelna aur baaki hai.

Aye zindagi aahista chal,

Haar raha hoon tujhse dheere dheere.


By Nasheed Asad





0 views0 comments

Recent Posts

See All

By Nandhini Chithra Dear Death, Tasting the pains of melancholy, Kissing the aches of monotony, Deep despair is piercing down- my wailing heart, silenced. Silence me fore ever, So I could hear no more

By Krupa Elsa Saji He is the fiercest king across the islands of Maestro, Nobody dares to place foot on the land he claims his own. There is no word passed against his will No redemption from the guil

By Vikas Rajoriya ये बादल क्यूँ रो रहे हैं ? कहीं ये उदास तो नहीं ? कहीं कुछ खोया तो नहीं ? कहीं कुछ रह तो नहीं गया ? कहीं कुछ ? ये बादल क्यूँ रो रहे हैं ? कहीं कोई अपना छोड़ तो नहीं गया ? कही किसी का

bottom of page