- hashtagkalakar
Akhir Tum Ye Kya Kar Bethe
By Ruchika Khandelwal
Introduction- This poem is based on the crimes on women and how they are treated by the society even after going through so much.
Gunehgaar ki jagah maasum ko saza de bethe
Ae zamane waalo tum ye kya kar bethe
Unn uchi udaano ko kuch yun hi kuchal bethe
Ae zamane waalo tum ye kya kar bethe
Cheekhon ne uski unn sunsaan sadko pe pemaan diya
Darindo ne jab uska woh hashr sare aam kiya
Uski fariyaad ko bhul uski izzat nilaam kar bethe
Apni nazron mein uss bequsoor ko tum saza de bethe
Ae zamane waalo tum ye kya kar bethe
Aaj unn darindo ke gharon mein toh phir diwali, holi hai
Par sunsaan padi bas sehene waale ki kholi hai
Nayaye toh mila par aapas mein bhi tum uski zindagi ko aisa anjaam de bethe
Ae zamane waalo uske saath ye tum kya kar bethe
Khushi toh shayad use bhi nahi mili hogi na ye sehete sehete
Dard toh use bhi hua hoga na ye kehte kehte
Phir bhi beeti hui ka dosh bhi usi pe mad bethe
Arey ae khud ko samajhdaar kehne waalo ye kya kar bethe
Kehte hain chori karne waalon ko saza milti hai
Aur jiski cheez chori hui use hosla
Par tum toh hosla kya khud hi uska wajood chori kar bethe
Adalat mein toh jab hoga tab hoga
Tum khudi use sambhalne ki jagah
badnami ke kathgareh mein khada kar bethe
Arey ae khud ko sharif kehne waalo ye tum kya kar bethe
Ek aur baat,
Zurm jisne kiya badnaami uske naam honi chahiye
Zurm jisne kiya nakadri uske sar honi chahiye
Zurm jisne kiya nafarat use milni chahiye
Aur zurm jisne kiya wazood uska khatam hona chahiye
Par iss baar toh tum jispe zurm hua use hi zindagi se dafa kar bethe
Arey oh rehemdil waalo ye kaisa rehem kar bethe
Akhir tum ye kya kar bethe
By Ruchika Khandelwal