- hashtagkalakar
Akeli Ladkiyaan
By Akeli Ladkiyaan
Sadiyon ke reeti-riwazon ko tod
Khud ki aawaz dhoondne nikal padi main
Duniya ne jo nakshe-kadam samjhaye
Unhe peeche chhod girti sambhalti chal padi main
Par majaal itni meri ki akeli khush reh paaun?
Bachpan se sikhaya mujhe ki aawaz neeche rakho
Jab duniya se nazar milayi toh bole nazar meechi rakho
Bhai ko mili aazadi ko main duur se dekha karti rahi
Aur apni khwahishon ko dil ke kone mein sameta karti rahi
Zamane ne banaya ek aisa khel
Ki mera astitva hamesha ek mard se bandha rahe
Passport mein ya toh naam pita ya pati ka ho
Aur meri pehchaan pe iska hamesha kandha rahe
Kyuki majaal itni meri ki akeli khush reh paaun?
Sadak pe chalte chalte jab ladkon ne bajayi seeti
Sikhaya mujhe ki sar neeche kar ke chup-chaap chalti raho
Achche ghar ki ladkiyaan kaam-kaaj seekhti hain
Apne pati ki achchi biwi banne ki tayyari karti raho
Buzurgon ne samjhaya ki samay par shaadi karna
Zindagi mein har kaam waqt pe hona chahiye
Par jaise hi maine sahi galat waqt ki pehchaan kari
Jhat se sab bole ‘ladki ko itna aazad nahi hona chahiye’
Kyuki majaal itni meri ki akeli khush reh paaun?
Iss peedhi ki pareshaani yahi rahi
Ki ladki ne har jagah ladkon ko di takkar
Par jab waqt aaya shaadi karne ka
Uss bebaak ladki se bola raho sar dhak kar
Kyuki majaal itni uski ki akeli khush reh paaye?
Aaj duniya mein laakhon ladkiyaan tees saal ke upar kunwari hain
Apne reeti-riwazon ke andhkaar mein itne uljhe
Unpe dabaav daalte hue tum bhool gaye ki yeh betiyaan bhi tumhari hain
Maa ki aankhon mein apni beti ko dulhan dekhne ka sapna
Ek beti ke dil mein dard bana panapta hai
Uss beti ki chaah bhi hai ki main dulhan banu
Aur akele mein iss bebasi ka afsaana uske aansuon mein chalakta hai
Jiss beti ko paala itne naazon se
Aaj uska kunwarapan kyu bojh bann gaya
Chahe woh kitni tarakki hi na kare
Kyu uska akela hona afsos bann gaya
Waqt sahi hai ya galat yeh kisne jaana
Apni khushi sabse pehle, uske baad yeh zamaana
Zindagi mein itni khushiyaan feeki padti hain
Kyuki zamane ne sikhaya ki jeevansathi ke bina hain hum adhoore
Toh ab hum ladkiyon ne thaani hai ki dikhayenge hum hain kitne poore
Akelepan nahi apne pyar ke khaatir karenge shaadi
Jo hamari udaan mein saath de, sirf aisa dhoondenge ek saathi
Aur agar nahi mila hamare saath chalne wala koi
Apni khushi ki zimmedari liye
Manayenge zindagi bhar aazadi
Iss zamaane ka meri khushi se kya vaasta
Jab yahi hasta hai dekh ke sabki barbaadi
Ab toh mauka mila hai khud ke liye jeena
Apna astitva banakar maa baap ka chauda karun seena
Kyuki ab majaal itni hai meri ki akeli khush reh ke dikhaungi
By Akeli Ladkiyaan