By Samyo Ranjan Jagdev
Aisa kya karun ,ke mai dobara bas jaun;
Dil ke darwaze,kholu ;
Aur uss makaan se ,barso purani dhuul mitaun;
Waise toh Kai aaye-gaye,rehkar isme;
Ab darta huun,
Phir iss kamre ko, kahin yadon se naa bhar jaun;
Aur khushiyan bhari thi inme,Kai jashn bhi the;
Lekin saath mein,Kai uljhane aur malaal bhi;
Aur jinhe khaas Maan baithe the,apni zindagi mein;
Mila sabak unse bada khaas hi;
Mai farak kar naa saka,nafrat aur na-pasand mein;
Socha na tha, hoga apna Aisa bura haal bhi;
Ab yaad nahi ke aakhri-baar kab bitayi wo pal thi,khush-haal si;
Mai seemat kr khud mein reh Gaya hun;
Kaise phelaun pankh apne,firse vishwaas ki;
Aur kehte hai,ye duniya abb bhi bharose ke buniyaad pe tiki Hui hai;
Yahan hota hai ujala,andhere ke baad bhi;
Bas isi khayaal ne,mujhe andar se jod rakha hai;
Kuchh baton ko nazar andaaz karun aur aage badhun;
Dil ko mauka ek aur doon,khubsurat si Kai wajah hai;
Lekin Darr se darwaze band kr duun,ye na-insaafi si saza hai;
Isiliye iss baar,saavdhaani barat Raha hun;
Aisa kya karun ke dobara bas jaun, Mai soch Raha hu;
By Samyo Ranjan Jagdev
Comentários