Afreen Afreen
- Hashtag Kalakar
- Apr 23, 2024
- 1 min read
Updated: Jul 24
By Khan Firdous

Chehra ek phool ki tarah shadab hai,
Chehra uska hai ya koi mehtab hai,
Chehra jaise sukoon,
Chehra jaise ho noor
Chehra barso ki jaise dua ho qubool
Chehra mujhpar hai jaise inayat (blessing) koi,
Chehra jaise sehar (dawn) aur shab (evening) hai koi
Chehra jaise nawazish (kind) hai aur paasbaan (protector)
Chehra itna haseen chehra hai khushnuma
Chehra jaise ke chehra kahin bhi nahi
Pakeeza pakeeza (pure) muqhtalif muqhtalif (different)
Wo bhi jane ki tareef mumkin nahi
Wo bhi jane ki tareef mumkin nahi
Afreen afreen
Afreen afreen
Jo bhi dekhe use khud ba khud ye kahe afreen afreen afreen afreen.
By Khan Firdous

Comments