By Abhilasha Arya
Wo kya ae na meri adat
Ae chijo ko shej ki rakhne ki
Har chij mujhe bht ajij
Aur pyari lagti ae
Islea kisi bhi chij ko
Phenkna ya khud se
Dur karna mere liye
Bilkl bhi ni hota asan
Samay 10 baj rahe the
Waqt subh ka
Mai ipf jane ko ready
Aur ek aur din apne sapno ki
Potli me kuch aur naye
Yadon ko jodne ke liye ready
Tee tee tee
Clear your space otherwise
Your system will be slow
Maine ignore Kara
Ek bar nahi bar bar ignore Kara
Aur result ye hua ki
Phone achank hang hone laga
Aur message device pe show hua
Your phone storage is full
Your device is slow
Slow nhi sayd Marne hi wala tha
Maine do teen baar restart Kiya reboot Kiya
Switch off Kara tab ja ke settings khula
Aur phir maine bht si photos kuch
Videos kuch app ko delete Kiya
Aur ye krte krte mujhe mere bare me kuch achank se ahsas hua
Aur mujhe kya kaise karna ae
Sabka jawab mil gya
Wo kya ae na aksar hamare
Jindagi me har roj hum kuch na kuch yadein
Banate rehte ae
Kuch achi kuch buri
Yadein sanjote rehte ae
Buri yadein aksar cache memory ki trh hoti ae
Yadon ko delete Krna bada mushkil hota ae
Achi ho chahe buri jab tak
Hame pressure ni ata tab tak
Hum apni chache memory clear nahi karte
Jab mai photos delete kr rahi thi to bht confuse or choosy si lg Rahi thi
Kise delete kru kise nahi
Bilkl nahi samjh pa Rahi thi
Aur phir mujhe ahsas hua yhi to
Meri jindagi me bhi abhi ho rha ae
Storage full aur dimag kab se
Kitno saalo se mujhe bata Raha ae
Par mai ignore kr rahi thi
Hamesa
Aur hamesa restart krne
Ki koshish na jane kitne saalo se kar rahi thi
Ek do bar system switch off krne
K liye logo se dur bhi bhag Rahi thi
Par wo har tamam koshis krne ke bad bhi
Restart nahi kar par Rahi thi
Yun data's memory kuch apps delete
Kar k dekha phn ne Rahat li
Aur kuch space Khali hua
Aur wo wapas se aram
Se normal chalne laga
Aur mujhe yu achanak ye ahsas hua
Ki kaise mai har bar logo ko
Delete krne me har
Us pic ki trh hi kaise sochti hu
Kayi bar to recycle bin se ja ke
Save kr leti hu
Aur memory jo Khali kri
Wo phir se bhar leti hu
Aur isi tarah ye silsila na jane kitne
Salo se chal Raha ae
Kynki mujhe aj tak delete Krna nahi aya
Islea problems khtm ni
Aur badh hi rahe the
Mai duvidha asuvidha
Me hamesa uljhe hi ja Rahi thi
Aur ye safar ka suffer khtm hone
Ka nam hi nahi le Rahi thi
Aaj samjh aa gya
Jindagi ko smooth chalane ke
Liye space ki jarurat hoti ae
Chahe wo phn ho ya rishtey
Without space hang ho hi jata ae
Islea har roj har waqt delete krte rehna chahea
Kuch achi yado ko internal storage
Google cloud ya pendrive me
Store kr Lena chahea
Par jo yade jo log bure ae
Unhe har din har pal
Chache memory ki trh
Hamesa Khali karna chahea
By Abhilasha Arya
Comments