By Samyo Ranjan Jagdev
Adhuri kahaniyon ki fitrat hai,
wo kabhi poore nahi hote;
Kirdaar toh poore hote hain,
lekin kahani ke anjaam poore nahi hote;
Ye teh karna ,
ke kahani kitni buni hai aur kitni reh gayi;
Ye mehez sirf likhawat tak seemit hai;
Warna zehen mein chhipi baatein likhne Lage,
Toh bas panno se aasun nikalne ki deri hai;
Yun toh sharir ko mitti mein dafnaao,
toh mitti mein mil jata hai;
Na koi afsos,na koi gum ,na koi dard;
Aur kisise koi rishta bacha reh jata hai;
Ye dil hi bas aisi jagah hai,
Jahan zehni laash ko kabr mein dafnaya jata hai;
Aur wo aakhri pal!!
Jahan sab kuchh khatam ho jata hai!!
Kisise rishta ,kisise dosti,kisise pyaar,
Aur kisi par se vishwaas;
Ye zaroori nahi, har adhuri kahani dukh bhari hoti hai;
Kabhi-kabhi saath hi,kuchh waqt tak reh jata hai;
Yun toh Kai baar ,judaai kismat mein likhi hoti hai;
Par kabhi-kabhi ,ek dusre ki sehmati bhi hoti hai;
Maana wo sab chubhte honge, Kai baar dil mein yaade banke;
Lekin ye bhi sach hai,
Ke jee lete hain bagair sabke ek waqt baad aage badh ke;
Tumhe shayad lage ke,ek adhura pan kahani mai reh gaya hai;
Lekin dil janta hai,
Ke acha hua,ye kahani adhura hi reh gaya hai!!
By Samyo Ranjan Jagdev
Excellent