Abla Nahi Durga Ho Tum
Updated: Jul 4, 2025
By Ramyaa Shukla
Na jaane kitne sapne uski palkon mein soye reh gaye,
Ya kitni umeedon ke charaag bhi andhere mein kho gaye.
Jisne khud apni zindagi se roshni lautai thi, Aaj uski roshni bhi andhero ke hawale ho gayi. Us aspataal ki deewaron ne, Kitne saansein uske haath se wapas pai thi, Lekin aaj wahi deewaren gawah hain, Uski khamoshi ka, us andhere ka jo uspar chha gaya.
Jahan Durga ka aagman, shor ke saath hota hai, Wahin kuch mardon ne, apni soch se haara diya, Jin haathon mein pooja ke phool sajte the kabhi, Unhi ne kitni Durgon ko apmaan ki agni mein jala diya.
Dwapar yug mein Shri Krishna ne bachayi thi ek Draupadi ki laaj, Ab na jaane kitni Draupadiyon ko bachane ka waqt aa gaya hai aaj.
By Ramyaa Shukla

Comments