Aap Kis Rishtey Mai Ho?
top of page

Aap Kis Rishtey Mai Ho?

Updated: Jun 10, 2023

By Doyir Riram



Aaj jab zindagi ko peeche mur dekhti hu toh lagta hai tumse mujhe milna hi tha. Mano kisi ke kahani ka zaroori kirdaar ho hum. Har ek ghatnaye ittefaaq na hokar pehle se rachi saajish ho. Mana mujhe pyar ke baare kuch samaj na thi, lekin bachpan se pyar ko lekar mera ek atoot vishwaas raha hai – ki saccha pyar muqqammal hai. Varna aajkal ki duniya mai pyar ka dusra naam aadat or zarurat hi toh hai.

Jab tumse mili toh beshaq mujhe laga tum meri aadat ban chuke ho. Bina baat kiye ek din bhi guzaarna nawaar tha. Mere din ka accha ya bura beetna tumhi se hota. Mano meri zindagi ka remote mere paas na hokar tumhare paas ho. Mann ne kaha aadat hi toh hai, chuut jaigi. Jab faasle aaye toh kosis ki bhulane ki, kosis mai barah saal beet geye lekin kosis abh bhi jaari hai.



Tumse chhah saal baad jab dubara mulaqaat huyi rishtey zara gehre huye. Duriyon mai bhi yaadon mai uska jo beshara tha izhaar huwa. Tab pata chala yeh ek tarfa na hokar dono ke haalat the. Issbaar jab faasle aaye toh laga tum meri aadat nahi zaroorat ho. Bina tujhe yaad kiye ek din toh kiya ek second bhi mumkin na tha. Kosis ki ek pal ke liye bhi tumhe bhula paon toh beri jeet hogi. Lekin iss kosis mai main khudko hi bhula baithi.

Ha ! Barah saal guzar geye. Jivan ke safar mai hamsafar bhi mile, or TUM do se teen hogeye. Fir bhi yeh ehsaas wohi hai jo pehle se tha. Kayi padaav aaye, kayi chunotiya aayi, sab kuch badal geye. Tum badal geye, mai badal geyi lekin aaj bhi yeh ehsaas wohi hai. Laakh kosis ki dono ne lekin pyar abh bhi hai. Abh jaakar pata chal – hum dono ke yeh darmiyaan na aadat thi na zaroorat. Yehi toh pyar hai.

PYAR – na yeh aadat ban kamzoor karta na zaroorat ban laachaar. Na yeh samay ke saath kam hota na chunotiyon se darr pyar karna band kar deta. Pyar toh aapko behtar insaan benata hai. Kamiyon ko aaine ki tarha dikhakar bharpoor banne ki wajah deta hai. Bandish na hokar azaad karta hai or apne sacche wajood se milata hai.

Pyar kamzoori nahi taaqat hai. Khuda ka insaaniyat ke liye behtaarin tofa hai. Aap kis rishtey mai ho? Aadat? Zaroorat ? ya Pyar ?


By Doyir Riram





15 views1 comment

Recent Posts

See All

He Said, He Said

By Vishnu J Inspector Raghav Soliah paced briskly around the room, the subtle aroma of his Marlboro trailing behind him. The police station was buzzing with activity, with his colleagues running aroun

Jurm Aur Jurmana

By Chirag उस्मान-लंगड़े ने बिल्डिंग के बेसमेंट में गाडी पार्क की ही थी कि अचानक किसी के कराहने ने की एक आवाज़ आईI आवाज़ सुनते ही उस्मान-लंगड़े का गुनगुनाना ऐसे बंध हो गया मानो किसी ने रिमोट-कंट्रोल पर म्य

bottom of page