By Kalpana Gupta
Samay ke sath, Badal rahi hai aj sabki soch
Nazar ghumao, dekho ho rahi har taraf nayi khoj
Geeta, Ramayan, padh sun dekh kar milte the updesh
Aya naya zamana, satsang pravachan ka charo or samavesh
Sheher sheher maidano me ho rahi hai bheed jama
Pravachan ki aad me, dhongi sadhu paisa rahe kama
Sab jhooth nahi, bahut kuch hai satya, samjho agar sahi arth
Satya ko pehchaan liyato sahi, warna mehnat hai vyarth
Ganga me dupki lagane se, dhulte nahi hai paap
Man jiska Ujjwal hai, Ganga pahuche us tak ap
Jidhar dekho, har koi apni dhun me ho raha magan
Charo taraf se yash kamane ki, laagi hai lagan
Sacha sukh prabhu ne usi ko hai diya
Apne sath, dusra ka bhala jisne hai kiya
Janam apna yeh, yadi lenge hum sudhar
To peeda kuch kam hogi, agli baar
Kai yoniyo ki saza, bhugat rahe hum aaj
Man kaabu me kar liya, to aasan ho har kaaj
By Kalpana Gupta
Comments