Aadat Se Majboor
top of page

Aadat Se Majboor

By Deep Shah



Basically music hi nahi

Lyrically choosing hi nahi

Musically amusing bhi nahi

Acoustically abusive hi sahi


Sab chalta hai aur yehi hai dastoor

Bas aadat se majboor, aadat se majboor


Ek baar to samaj lo ye shabdo ke arth ko

Bas dhoon pe nach lo baki sab to vyarth ho

Na antro me antar na mukhde ka mukh

2-4 lino me bematlab ka hook

Sab yaar ki baate hai aur pyaar ki raate hai

Phir paise ki peshi me vyapaar ki khaate hai

Jab remix me jaate hi kuch gaano ki lagaate hai

Aur bass ke base pe bas kaano ki bajaate hai

Har kahani kuch kehti thi aur geet me bol the

Ek umeed si rehti thi har beat ke bhi mol the

Pyaar to ab senti hai ek tweet ka hi jol hai

Actors to plenty hai lekin heroes ka hi role hai

Par aisa hi chalta hai aur yehi hai dastoor

Naraaz to nahin par hai aadat se majboor

Karna puraane alfazo ki hifaazat zaroor

Isme tera hi ghata hai mera kya kasoor

Koi hero nahi hai tu bas thoda sa autotune

100 cr nahi aayenge agar tu gaayega out of tune

Bas to repeat pe laga ke kar le koi tyavhaar aflatoon

Ayushmaan bhava bol ke kamale tu andhadhoon





Ab kaam karke tu naam kar,lekin surname ko na badnaam kar

Sarhad ki rekha ko yaad karke ek laxman ko tu raam kar

Me jab bhi sahi tha mazhab bhi wahi tha

Me ab bhi wahi hoon jahan rab bhi kahin tha

Jo dikhta hai vo bikta hai

Main likhta hoon jo dikhta hai

Aur kuch shabdo ka milan kar leta hoon

Jo samuh me bolte thik thaak hain

Tera time gaya ab tu tik tok hai

Rap ko samajta tu hip hop hai

Wireless duniya me to sirf ek chhota sa mic-drop hai

Mu khulva mat tu bulva mat is uljhan me to uljha mat

Main likh loonga sirf pulwama

Kya bhar jayega sab ka jurmana?

Apne ego ko tu thoda gaad den

Kapdo se charitra faad mat

Kya yee sab samaaj ke liye sahi hai ya fir samajne me bahut hard hai?

Teri goliyan to hai thai thai

Teri goriyan ko bol bye bye

Tu bas khud ko impress kar le

Zindagi na guzaar ghai ghai mein

Hum paanch hai tu dhai dhai mein

Teri rooh ka maalik sai sai hai

Do paiyon me do paise kama kyunki sona tujhe hai charpai me



By Deep Shah




121 views4 comments

Recent Posts

See All
bottom of page