top of page

Papa

By Shradha Jindal


Papa kaun hote hain

Jo chori chori raaton mein

Humein sote hue dekhte hain


Dekhte hue muskurate hain

Aur muskurakar chupke se rote hain


Papa kaun hote hain

Wo jo pura bazaar khareed late hain

Bina bole yun hi pyaar jatate hain


Kabi kuch khatam nahi hone dete

Aankhen bhi nam nahi hone dete



Papa kaun hote hain

Bachchon ke dard jo khud bhi tadapte hain

Maa ki tarah wo bhi raaton mein jagtein hain


Pal bhar mein bechain ho jate hain

Par chehre par hasi hi dikhalate hain


Papa kaun hote hain

Wo jo baat baat pe daanta karte hain

Der ho kabhi to chinta zyada karte hain


Subah uthne ke lie shor machate hain

Lekin bas yun hi wo pyaar jatate hain

Papa kaun hote hain

Wo humhare Jeevan ki Prerna hote hain

Unka Jeevan humare liye seekh hota hai


Kaunsa kadam sahi or kaunsa mod theek hota hai

Papa hi humein sikhate hain


Bete, papa ke ladle

Aur beti ka pehla pyaar kehlate hain


Wo sabki Khushi mein 

Apne ghum bhul jaate hain

Humari dhal banke

Har mushkil se ladd jaate hain

Yun hi nahi papa ek superhero kehlate hain


By Shradha Jindal




Recent Posts

See All
Love - Past, Present and Future

By Sreekanth Dangeti people, who just listened to our story, may say you are my Past The truth is that you are not just Past, but also my...

 
 
My Missing Piece

By Abhi Gupta Each time we touched, our bonds grew, Our bodies came closer, as the sparks flew. Two halves of a whole, two bodies, one...

 
 
  • Grey Twitter Icon
  • Grey LinkedIn Icon
  • Grey Facebook Icon

© 2024 by Hashtag Kalakar

bottom of page