"Papa..."
Updated: Jun 27, 2023
By Abhishek Tripathi
Aaj aap itne pyar se meri fikar karte ho...
Aaj apna lia hai aapne meri har nakaami ko...
Par bachpan se aakhir ye ankahi dooriyan kyun thi...?
Ek dusre ki ummeedon ko apnaane mein itni jijhak kyun thi...?
Waqt bahot tha...nazdeekiyaan nahi thi magar...
Aaj kuch nazdeekiyaan badhi hain, par waqt hai apni pabandi par...
Baccha hi to tha, thoda sikhaa dete ki kaise dikhaaun apne pyar ko...
Auro ko to bahot bola maine… par kabhi khud se bol nahi paaya aapko...
"Papa"... pehle ki tarah aaj bhi aapko dekh, jyada kuch keh pata nai...
Par bahot khayal rakhta hun aapka...bas kabhi jataaya nai...!
By Abhishek Tripathi

Comments