top of page

Ishq

By Barleen Kaur


Maine suna hai Ishq shaayar ko maar deta hai,

Toh btao kya mai bhi tyaari rakhu?


Ishq ki hr cheez hi naayaab hai,

Kis cheez ko jaan se pyaari rakhu?


Ishq se badi koi saugaat nhi mili,

Dil ke taraazu mein kise ishq se bhaari rakhu?


Ishq toh bs ishq hai na; toh haar jeet kaisi,

Ishq se jeet jau, ya khud ko haari rakhu?


Ishq toh duniya bhi bhula deta hai,

Toh tujhe bhool jau ya teri yaad dulaari rakhu?


Lgta hai ishq ki baazi haar gyi hu mai,

Toh kya ab khud ka naam juaari rakhu?


Suna hai ishq sb kuch loot leta hai,

Toh ab kya aukaat hmaari rakhu?


Ishq toh khuda ki rehmat se milta hai,

Toh kya ab apni pehchaan bhikhaari rakhu?


Aur suna hai Ishq shaayar ko maar deta hai,

Toh ab ishq krna chhodh du ya phir jaari rakhu?


By Barleen Kaur


Recent Posts

See All
How the Moon Loves the Sun

By Lahari Dharmala the sun, who makes the moon shine brightly when it can't yet it's so hard for them to meet, rare to shine together but people are fascinated by it when they do, the moon gets buried

 
 
 
Existence

By Avery Jorgensen Everything relies on the Xylem and phloem of life It is what brings us the unknowns of the future, and what Sends away the joys and pains of the past Tomorrow, and the next day, we

 
 
 
Favours I Shouldn't Have To Do

By Avery Jorgensen Sitting in a cafe on our long drive back into town They ask “can you scrape off my nail polish before I get home?” Wincing at the pain, as the acrylic barely chips To avoid a pain t

 
 
 

1 Comment

Rated 0 out of 5 stars.
No ratings yet

Add a rating
Sukhdeepkaur
Sukhdeepkaur
4 days ago
Rated 5 out of 5 stars.

👍👍

Like
bottom of page