- hashtagkalakar
Hijr
By Dr. Ammar Khalid
Hamne dekhe hain ajab log zamane wale
Khud gharzi me jeete hue mar jaane wale
zabt-e-ishq bhi laazim hai maana lekin
Kyu chahiye tujhe wo log satane wale !
Phir kyu sajdon me yoon hi raat basar karta hai
Ab kya aayenge laut ke na aane wale
Gham-e-ulfat me to bedaad hi karenge lekin
Ham na honge to yaad karenge zamane wale
Koo-e-yaara me kahan talashte ho hame
Bazm-e-rindana me milenge ab chahne wale
Baada jab tere naam ki hothon se lagata hu main,
Mujhko dekh ke jal jaate hain maikhane wale
Qissa-e-arbaab-e-wafa jo sunenge meri
doob k mar jayenge sab ashiq kehlane wale
Mujhko maloom hai tere baad mera kya hoga
Baazoo kam pad jayenge mujhe dafnane wale
Aakhri pal bhi meri ankhon me bas ek tamanna hai
Ki jaam Aankhon se pilade tu pilane wale
By Dr. Ammar Khalid