Hasi
top of page

Hasi

By Shreya Sharma


Aaj ek hasi ne mere darwaaze par dastak di,

Us bikhri hui zindagi ko ek baar fir sanjone ki kismat di.


Is berangi zindagi mein aaj pehli baar, rang bharne ki khwaish thi,

Aur jo kaaya aaj tak bas ek zinda laash thi, uski bhi aaj jeene ki farmaaish thi.


Jis soch ke pankh kate,

Vo aaj bhi badlaav ki himmat rakhti thi.

Ek baar fir naye pankh laga,

Aaj ek oonchi udaan bharne ki Hasrat rakhti thi.


Meri har khwaish par, har Khushi par,

In logon ne humesha sawal uthaaye.

Aur apni jhoothi rivaayaton ki bediyan mere paaon mein daal,

Har baar mere armaan Jalaye.



Yun toh mene in jhoote logon ke liye, inki jhooti shaan ke liye,

Apni us hasi ko, us Khushi ko,

Kisi darwaaze ke peechhe band kar lia tha.

Aur is zillat ko, in aansuon ko hi apni kismat samajh,

Khud ko inki jhooti rivaayaton ki qaid mein band kar lia tha.


Mujhe kya bolna chahiye, kya karna chahiye aur kya pahanna chahiye,

Ye inki rivaaytein tay kar leti hein.

Aur meri har khwaish par paabandi laga,

Ye mujhse meri hasi chhheen leti hein.


Agar mera kapda thoda Chhota ho gaya,

Toh mein besharm ho gayi, badtameez ho gayi.

Par tumne jo is kapde aur sharm ki chaadar ke peechhe

Gar…. Apne andar ka haivaan chhipa lia,

Toh tum shareef hog aye, paakeez ho gaye?


Are… Ae naasamajh insaan dar,

Dar… Kahi khuda khafa na ho jaaye.

Kyuki, Paabandi tu mujh par laga sakta hai, meri soch par nahi.

Tu meri zindagi par kaaboo kar sakta hai, par meri kismat par nhi.


Aaj tak maine bahut bardaasht kia, par ab nhi…

Kyuki har cheez ki ek had hoti hai.

Aur fir bhi agar tune mujhe rokna chaaha na toh ye yaad rakhna,

Ki ek aurat humesha abla nhi balki durga banker behad bhi hoti hai.


Aaj jo mauka hothon par ek hasi banker, mere samne aaya hai,

Vo apne sath meri zindagi badalne ka paigaam bhi laya hai.

Aaj ek baar fir teri is jhooti shaan ke liye,

Mein is mauke ko nhi gawaungi.

Balki apni sabhi khwaishein samet,

Apni is chhoti-si zindagi ko jeene,

Mein is mauke ke sath, udi chali jaungi!


By Shreya Sharma




10 views3 comments

Recent Posts

See All

Ishq

By Hemant Kumar koi chingari thi us nazar me , ham nazar se nazar mila baithe faqat dil hi nahi , daman o dar jala baithe ta umr jala (hu) fir jalte jalte khaakh hua muhabbat raakh na hui me hi raakh

जब भी तेरी याद आएगी

By Divyani Singh जब भी तेरी याद या आएगी ना चाहते हुए भी... तेरे साथ न होने की कमी हमें रुआंसा कर जाएगी हंसते हुए होठों पर उदासी को लाएगी खुशी से सुर्ख आंखों में भी तेरी याद की प्यारी नामी दे जाएगी । ज

Maa

By Divyani Singh Zindagi ek khubsurat kissa hain .. Bin maa k adhura hissa hain... Maa jo pyaar sae Sula dey maa jo pyaar sae utha dey ...gam bhi agar kuch hain to maa ka sath ..khushi mein bhi kuch h

bottom of page