Ghar
- Hashtag Kalakar
- Nov 29
- 1 min read
By Gunjan Narula
Saat din bas saat din the, Par lage jaise ek pal ke the.
Ghar aaya tha thoda sukoon lene, Par ghar ne hi dil chura liya.
Maa ke haath ka khana, Papa ki hasi,
Bhen Aur Bhai sa thodi si ladai jasa sa bachpan ke afsane.
Sab kuch mila jaise sapna koi, Aur ab ja raha hoon, phir door kahin.
Kal subah alarm bajega zaroor, Sheher ka shor phir se hoga manzoor.
Par dil toh yahin reh gaya hai, Un galiyon, un yaadon ke sang.
Pata hi nahi chala, Yeh saat din kab beet gaye.
Bas ek pal jaisa laga, Aur chhuttiyaan khatam ho gayi.
By Gunjan Narula

Comments