Ghar
top of page

Ghar

By Shraddha


Pura ghar vaisa hi pada hai

jaisa hum chod ke gaye the

bus yuhi bahar hi toh nikle the

phir pata nahi kya hua

phir pata nahi kaise saari purani batein dheere dheere bahar aa gayi

phir pata nahi kab baat haath se nikal gayi




aur hum ghar wapas aye hi nahi

saari cheeze ghar mein ab bhi vaisi hi padi hai

ab tak humara intezaar kar rahi hai

woh adhoori neend, woh adhe kiye hue kaam

aadha glass pani ka jisse hum dono ne paani piya tha

woh shawl jiske silvato mein hum ab bhi mehek rahen hain

... kahin toh hum ab bhi ek saath hain


By Shraddha





1 view0 comments

Recent Posts

See All

Ishq

By Hemant Kumar koi chingari thi us nazar me , ham nazar se nazar mila baithe faqat dil hi nahi , daman o dar jala baithe ta umr jala (hu) fir jalte jalte khaakh hua muhabbat raakh na hui me hi raakh

जब भी तेरी याद आएगी

By Divyani Singh जब भी तेरी याद या आएगी ना चाहते हुए भी... तेरे साथ न होने की कमी हमें रुआंसा कर जाएगी हंसते हुए होठों पर उदासी को लाएगी खुशी से सुर्ख आंखों में भी तेरी याद की प्यारी नामी दे जाएगी । ज

Maa

By Divyani Singh Zindagi ek khubsurat kissa hain .. Bin maa k adhura hissa hain... Maa jo pyaar sae Sula dey maa jo pyaar sae utha dey ...gam bhi agar kuch hain to maa ka sath ..khushi mein bhi kuch h

bottom of page