- hashtagkalakar
Dost
By Rishika Agrawal
Pehla din tha mera
Thi ek alag si jagah
Na koi chehra mein janti
Na koi ruh mujhe pehchanti
Tune aakar hans kar ki baat
Acha laga woh pal tere saath
Saath tere rehna
Saath tere khana
Khelna aur ladai karke
Aaakhir ek dusre ko manana
Zindagi ke woh pal the bahut haseen
Aaj jab thu door hai ‘toh bahut yaad hai aati
kaleje se lagane ke liye
Meri saanse hain tadphadati
Tere saath mein kuch khaas tha
Mere mann mein alag sa sukoon tha
Meri ladai teri ho jati
Mujhe lagne par thu saaya ban jati
Khoon ka rishta toh nahi hamara
Par e dost tera rishta tha bada hi nyara
Kuch bolne ke pehle main sochti nahi
Tere saath sab kuch bas tha sahi
Teri daant phatkar mein thi zindagi
Teri har muskaan mein thi dillagi
Milon ki dooriyan aaj hai……….
Milne ka shaayad koi ab waqt nahi
Rangeen the jo panne tere saath
Berang se ho gaye aaj mere haath
Aa chal dobara bache bann jaye
Aa chal zindagi ko dobara gale lagaye………………..
By Rishika Agrawal