Woh
By Aysha Bilquees
Vo din ko raat karta hai,
Vo gehri baat karta hai.
Samundar si nigahon se,
Vo jab barsaat karta hai.
Vo aatish se bhi darta hai,
Vo aatish se hi ladta hai.
Vo aatish khud hi hai lekin,
Khud se ehtiyaat karta hai.
Vo khud, khud mein hi khoya hai,
Bahar talaash karta hai.
Vo khamosh ho jaaye to,
Din ko raat karta hai.
By Aysha Bilquees

Comments