By Kalpana Gupta
Bhagwan nahi reh sakte humare sath
Isliye Maa tumhe banaya
Sukh ho ya dukh,
Sabke liye mita di tumne apni kaya
Jis maa ne sara jeewan apna hume hai diya
Budhape me, prabhu apne kyu akela hai use kiya
Sasural bhej beti ko kar dete ho majboor
Maa ko hai zarurat, to bethi itni door
Kaash, ye rasme kuch is tarah ban jaye
Beta na ho agar, maa sath beti ke he jaye
Damad ban jaye beta, sath is tarah nibhaye
Aane wale kal me, har koi beti paana chahe
Vansh chalae beta to kuldeepak kehlaye
Par ab beti ki santaan bhi “Vanshya” kehlaaye
By Kalpana Gupta
Comments