Maa
By Wajeeda Unnisa Begum
Jo bhi kehlun Maa, Mother, Mom, Mumma ya Ammi
Gar na ho aap saath mere toh mehsus hoti hai mujh mein kami
Mujh ko kandhon pe uthaya karte the kabhi
Toh mere nakhre uthaya karte ho abhi
Roti bilakti main toh rote ho bewajah mere saath yun hi
Khush ho kar hansu main toh apne saare gham hata kar muskurate ho tab bhi
Haan, daant te ho har ghalti par meri
Par sach kahun toh aap ki daant bhi lagti hai mujhe chashni
Khana na khaun main toh haath se khilate ho
Ghussa kabhi hojaun toh hans kar manate ho
Tabiyat ku meri aksar samajh jaate ho
Kuch toh jaadu hai aap mein bolo aisa kya karte ho
Kitni bhi thaki hun main par aap ke godh mein aata jo sukoon hai
Na hi sukoon balke khwab pura karne ka chadhta bhi junoon hai
Aap toh meri himmat o hosle ka sutoon hai
Aap ku dekh kar apni manzil bunti hun jaise aap mere oon hai
Pa tut jaati hun main jab aap ke aankhon mein aansu aate
Himmat ho meri aap aur aap ne hi sikhaya ke waqt ke saath halat badal jate
Aap ku shukriya toh nahi kahungi ke who toh kuch bhi na hoga jitna aap humare liye ho karte
Aap ki duaon ke saath apne aap ko iss qabil zarur banaungi ke mujhe dekh log aap ki pehchan karte
By Wajeeda Unnisa Begum

Comments