AKS
top of page

AKS

By Nikhat Nazneen



Aaj kahin

Eik nazm parhi

Laga -------

Ise to maine hi likha tha

Ye to meri hi thi

Shayad maine hi

Kisi ko di ho.

Lekin -------





Dairy ke

Saare panne palat daale

Daraz ka

Saara Samaan ulat daala

Zehan ke

Saare kisse khangaal daale

Aur –

Wo mujhe phir bhi nahi mili

Lekin-----

Ye kaise mumkin tha

Ke ye nazm

Kisi aur ni likhi thi !

Ehsaas bhi mere

Andaaz bhi mera

Alfaaz bhi mere

Aur to aur

Isme

AKS bhi

‘ Tera'



By Nikhat Nazneen




85 views0 comments

Recent Posts

See All

Ishq

By Hemant Kumar koi chingari thi us nazar me , ham nazar se nazar mila baithe faqat dil hi nahi , daman o dar jala baithe ta umr jala (hu) fir jalte jalte khaakh hua muhabbat raakh na hui me hi raakh

जब भी तेरी याद आएगी

By Divyani Singh जब भी तेरी याद या आएगी ना चाहते हुए भी... तेरे साथ न होने की कमी हमें रुआंसा कर जाएगी हंसते हुए होठों पर उदासी को लाएगी खुशी से सुर्ख आंखों में भी तेरी याद की प्यारी नामी दे जाएगी । ज

Maa

By Divyani Singh Zindagi ek khubsurat kissa hain .. Bin maa k adhura hissa hain... Maa jo pyaar sae Sula dey maa jo pyaar sae utha dey ...gam bhi agar kuch hain to maa ka sath ..khushi mein bhi kuch h

bottom of page