मौसम की पहली बारिश
Updated: Jul 18, 2025
By Nidhi Chhimwal
Khidki se jhank k dekha jab mausam ki pehli barsat ko
Anginat ehsaso se bhar gaya man…dekh bondo ki baarat ko
Mere andar se bachcha ek nikal k bhaga bahar bheegne ko
Badhappan ki hichak ne roka…pakad k uske hath ko
Bachpan aur jawani k beech kyu deewar si ek khadi ho gayi
Mere andar ki baarish bhi jaise mere sath badi ho gayi
Tabhi achanak Bachpan ne andar phir ek karvat si le
Pehlii barish mai pehle ki tarah unmatt beeghe ki guzarish si ki
Badhappan ne thodi himmat dikhayi Aur hatheli khidki se bahar badhayi
Moti si pyari bonde…fauran hi meri hatheli mai gir ayin
Wo Zara sa sparsh Tod gaya jhijhak k bache khuche har baandh ko
Fir kya tha…Badhappan dauda bheegne bahar pakad bachpan k hath ko
Ankho se dil mai utar liya maine…Bachpan se mili is saugaat ko
Tan Man Pehle ki tarah hi bheeg gaya dekh boondo ki us barat ko
By Nidhi Chhimwal

Comments