फिर से जीते हैं
By Nidhi Chhimwal
Bada sa Ghar na jane kab makan ban Gaya
Bade hum hue K Ghar chhota ho Gaya
Bin social websites k hi jane anjano mai kafi social the
Adhunikta ki chaka chaundh mai wo bebaak pan Kho gaya
Ghante to din mai pehle bhi 24 hi the
Fir aaj kyu ye waqt kuch sikud sa gaya
Humara tha jo wo ab tera mera ho Gaya
Bade to ho gaye shayad badappan Kho gaya
Hazaro ki bheed mai aaj insaan tanha sa ho gaya
Fursat ka wo har pal jane kaha fana ho gaya
Thoda rukte hai, thoda thamte hain zara
K poori tarah abhi nahi hua hai andhera
Kuchh baatein auro se aur khud se dhero karte hain
aao fir Ek baar pehle sa jeete hain
By Nidhi Chhimwal

Comments