Zindadil
By Harmeen Kaur
Waqt nasaaz ho gar, fitart-e-zindadil apna li jaye
Raah ka raahgir saath ho agar, lambe raste bhi lamhe mein beet jaye
Kuch to nafa hoga us saudey mein, jisme intezaar beinteha likha jaye
Khaas hun ye yakeen dilaya, zamaane se alag raah pe chalaya
Jis ki chah par kudrat bhi jhukey, aaj us ke sahmney sab saunp diya jaye.
By Harmeen Kaur

Comments