Yaadein
By Aman K. Agrawal
Socha tha hamare beech bhi ek kahani hogi,
Lekin ab sirf baatein rah jaani hai.
Jin raaton me tumhe khone ka dard tha,
Bas wo raatein rah jaani hai.
Wo ratein, jinme tum aur mai sath the,
Hathon me hath the,
Hum dono the to khamosh magar,
Ga rahe jajbaat the.
Ab un raato me tumhara sath nahi,
Ab in hathon me tumhara hath nahi,
Sirf yaadein rah jaani hai,
Ab bas baatein rah jaani hai.
Wo safar jisme tu humsafar tha,
Wo khwab jaha hamare sapno ka nagar tha,
The to hum sath magar, bich me ek magar tha,
Ab bas ye dooriyan rah jaani hai.
Kash tum aaj bhi hamare hote,
Jo hum toot.te to aapke sahare hote.
Kitne haseen wo nazare hote,
Jinme hum tumhare aur tum sirf hamare hote,
Lekin ab sirf unkahi baatein rah jaani h,
Ab bas yaadein rah jaani hai.
By Aman K. Agrawal

Comments