Wo Waqt Kuch Aur Tha
- Hashtag Kalakar
- Mar 2, 2023
- 1 min read
By Kashif Ehmed
wo waqt wo daur kuch aur tha
use chahne ka bhi mozu kuch aur tha
wo kaisa besabr sa zamana tha
mein bhi deewana bana sath chalta jata tha
wo har sham gulabi sham thi
jab har jaam gulabi jaam laga karta tha
ye ab qaleel si bechaini hai is dil me mere
mein jb uske sath tha sari qaynat se lad liya karta tha..
By Kashif Ehmed

Comments