Vaad - E - Ishq
By Arshad Mehta
Bade jhoothe nikle ishq ke vaado me tum aksar
Mare toh tum bhi nahi , zinda woh bhi hai ek zamaane ke baad
Aaya tha woh meri taraf duniya ko aazmaane ke baad
Lekin meri akal naa chali ki chala jaayega woh mujhe chod kar apna dil lubhaane ke baad Kya kasme dete tum us be-dil ko
Tumse pichle bhi the bohot aashiq uske sheher se guzarne ke baad Bade josh se
kaha karte the ki tum meri aakhri mohabbat ho
Dil toh lag hi jaata hai ek naye mehboob ke aa jaane ke baad
Naa maut aati hai naa yaad us kambhakt ki ab
Aaj likha jaa raha hai unka kaam ek zamaane ke baad
Aaghosh me jinki sir rakh kar so jaaya karte the tum
Aaj neend aati nahi kyu aankhein jalaane ke baad
Ishq ki raah par guzar jaana fir ek baar tum yuhi
Ek nayaa kissa shuru hota hai zaroor har guzre fasaane ke baad
By Arshad Mehta

Comments