Usne Kya Hi Jiya
- hashtagkalakar
- Jul 15, 2023
- 1 min read
Updated: Apr 10, 2024
By Arnav Singhal
jab apni reshmi zulfon ko sehlaati thi tum
bagh me lage hue ped bhi shayar ban jate the
jab tumhare labon se wo meethe geet sunte the hum
to uss ped pe bethi koyal bhi tumse jalti thi
tootte taaron ko dekh kar jo chamkan tumhari aankhon me aati thi
usse dekh kar taaro se bhi khoobsurat lagti thi tum
jab apni shararti si muskaan ke sath tum hasti thi
to dil ki dhadkan utni hi tezi se badti thi
jab pehli bar tune apna hath mere balon pe phera tha
jab pehli bar teri bahon me mera rooh samaaya tha
waqt kuch tham sa gaya tha
unn lamho ki yaad aaj bhi mere aasuon ko hasa deta he
kya sahi tha tujhse mohabbat karna ya galat
dard to tha dukh bhi tha me roya bhi aur mene kuch khoya bhi
par tere se ishq jisne nahi kiya usne kya hi jiya
saans to sab lete he par jisne tumhari suhaani khushboo me nahi li usne kya hi jiya
By Arnav Singhal