Tumhara Khayal
Updated: Nov 29, 2022
By Pathan Samiya Zuber
Kitab hath me par khayal tumhara hota hai
Tayari imtehan ki par charcha tumhara hota hai
Jab tak tumhara khayal hamare dimag me hota hai
Sawal koi bhi ho Jawab tumhara hota hai
Hairat hai, magar wo manzar bhi behad khush hota hai
Jab maujoodgi hamari par charcha tumhara hota hai
Gazal hamari par matla tumhara hota hai
Jab dhadkan hamari aur dil tumhara hota hai
Qubul kare sachchai sab kuch aisa hi hota hai
Jab mahfil hamari par kalam tumhara hota hai
Apni pakeezgi ki aur kitni wazahate de ab Saher
Tahreer hamari pr mazkoor tumhara hota hai
By Pathan Samiya Zuber

Comments