Tum Mujhe Sambhal Paaoge Kya? …….
By Nitika Khulbe
Mein sharte nhi ,
Umeede rakhti hu
Mein waada nhi
Sirf wafa mangti hu
Mein baatein kai karti
Lekin use zyada dil mein rakhti
Mein hasti bahut , magar kai baar udaas rehti
Apnapan sab ko dikhati
Par andar hi andar ghutti rehti
Samjhati sabko mein bahut kuch
Lekin mein kisi ke samjh nhi aati
Apni kahi baton ko hi mein yaad nhi rakh paati
Apne ehsaaso ko samet nhi paati
Sahi aur galat ko kai baar mein pehchan nhi paati …..
Mein ladkharati bahut hu
Toh kya tum mujhe sambha paaoge
Haatho mein paseena bahut aata , kya phir bhi haath tham paaoge ….
Mein na bahut mushkile khadi kar deti
Use zyada galtiya kar deti
Choti choti baton ko dil pe laga leti
Aur zakhmo ko apne andar hi dafnaye rakhti
Kai dafa khud ko hi samjh nhi paati
Kya uss roz tum mujhe samjhoge
Mujhko mujhse roohbaru karwa paaoge
Mujhse ishq karne ki himmat kya tum phir bhi juta paaoge …..
Aasan toh bilkul nhi hoga
Par kya tum mere khatir yeh sab kar saakoge
Mere aankho mein base sapne ko haqikat mein pura hota dekhna chahoge
Mera udaas chehra padh sakoge
Kya tum mujhko samjh paaoge ……
Mein tut bahut jaldi jaati
Kya mera bharosa tum jeet paaoge
Uss roz jab mein sehma mehsus karungi
Toh kya mera saya ban paaoge
Jab mein samay par khana khana bhul jaaungi
Tab kya tum
Mummy ki tarah daat kar ya phuslakar mera pet bhar sakoge
Mein na logo ki baton mein badi aasani se uljh jaati
Tab kya tum mujhe mere papa ke, jaise logo se bacha paaoge
Jab kabhi humare beech kuch bhi uljha hoga
Kya tum use suljhane ki koshish karoge …….
Kuch zyada hi umeede laga leti hu mein
Kya meri ummedo pe khade rakhoge tum
Mujhe apna maan sakoge tum
Mujhe parivaar ka ehsaas karwa paaoge tum
Kya meri chintao ko samjh paaoge tum
Mujhko mere khatir behtar banaa chahoge tum
Jab mein haalato ko dekh kar bhagne lagungi
Tab kya mera haath pakad , saath mein haalato ko par kar paaoge tum
Mujh jaise panne ki
Syahi ban sakoge tum
Kya sach mein tum mujhe sambhal paaoge …….
By Nitika Khulbe

Comments