Toh Kya Kiya Jaye
By Venus Pateriya
Toh kya kiya jaye Dar ka kya kiya jaye, haar ka kya kiya jaye, dil na kya kiya jaye, nazar k taar ka kya kiya jaaye Is haal ka kya kiya jaaye Is pyaar ka kya kiya jaye Nihaarna toh aankho ko bhi hai Par yeh nazrain jo tumhari bindi pe thehri h Toh is nazar ka kya kiya jaye ? Tum noor si, main choor hu Kahi noor choor na ho jaye, dar bhi hai Toh is dar kya kiya jaye ? Maana bhi lu ki hum mil nahi sakte Par dil toh milne ko chal pada hai Toh is dil kya kiya jaye ?
Haan, filhaal main jeena theek hai Par filhal main yeh jo haal ho rha hai Toh is haal ka kya kiya jaye ? Yaaro ka samjhana bhi jayaz hai Par is yaar ko toh pyaar ho rha hai Toh is pyar ka kya kiya jaye ? Izhaar toh karna hai Par izhaar ki haar ho jaye, toh Toh is haar kya kiya jaye ? Tum herae ki chamkan si Main kaanch sa tap k pighla hu Kahi fir se choor na ho jaau Toh is kamzor kaanch ka kya kiya jaye ?
By Venus Pateriya

Comments