Toh Kaho Kya Karein ?
By Venus Pateriya
Galat mat samjhiyega Yeh toote dil ki daastan nahi Ektarfa ishq ke kisse keh raha hu Ki wo aati hai, aur peeche kuch toh chor jaati hai Baarish ki boond ki tarah aati hai Aur peeche chor jaati hai nami Toh kaho kya karein ? Sard hawa k jhokhe ki tarah aati hai Aur peech chor jaati hai bikhre baal Toh kaho kya karein ? Lifafe main dabi chithi ki tarah aati hai Aur peech chor jaati hai khabrein Toh kaho kya karein ?
Hijr ki mulakaat ki tarah aati hai Aur peeche chor jaati hai khusbu Toh kaho kya karein ? Anjaan se rahbari ki tarah aati hai Aur peeche chor jaati hai sunsaan raahein Toh kaho kya karein ? Message ki notification ki tarah aati hai Aur peeche chor jaati hai seen ka thappa Toh kaho kya karein ? Saanjh ki roshni ki tarah aati hai Aur peeche chor jati hai kaali andheri raat Toh kaho kya karein ? Basant ke gul ki tarah aati hai Aur peeche chor jaati hai patjhad main sookhe patte Toh kaho kya karein ?
By Venus Pateriya

Comments