Toh Ishq Kaisa
By Venus Pateriya
Jo zubaan se kehna pade wo ishq kaisa Jo door na rehna pade toh ishq kaisa Jo sabr ki teh tak na duboo de wo ishq kaisa Jo pathar main zameer na jaga de toh ishq kaisa Jo panno ki khushbu ko yaad na bana de wo ishq kaisa Jo aam si cheezon ko khaas na bana de toh ishq kaisa
Jo anjaan se yaar aur yaar se pyaar na bana de wo ishq kaisa Jo ek insaan ko sansaar na bana de toh ishq kaisa Jo befikre ko zimmadar na bana de wo ishq kaisa Jo aankho aankho main ikraar na ho jaye toh ishq kaisa Jo uska chehra dekh k khud ko na bhool jao toh ishq kaisa
By Venus Pateriya

Comments