Tijaarat
By Kausar Sultana (Majnooni)
Kuch log alfaazon ke zariye, jazbaat qhareed letay hain.
Kuch log jazbaaton ke zariye, dil qhareed letay hain.
Kya dil itna betaab hay ki itni si qeemat mein bik jaata hay?
Jaantay hain hum, humaray yeh alfaaz aapko sochnay par majboor karengay
Shaayad aapko qhareedi aur bikaav lafz pasand bhi na aaein ..
Lekin naraaz honay se pehlay aagay sunn tho lijiye..
Ishq mohabbat kya tijaarat hay, Majnooni ke nazariye se dekh tho lijiye
Unki nigaah humpar tiki rahay, woh lamha hum unse qhareed sakay tho...
Unki baahein humay pakdi rahein, humari gardan hum unhay bech sakay tho...
Hamaari saansein chalti rahein, unki saansein hum qhareed sakay tho...
Humaray kaandhey par unka sar rahay, hum kaandhay ko bech sakay tho...
Ae mohabbat ke aashiq, yeh tijaarat nahi tho kya hay..
Alfaazon par na atkiye, jazbaaton ko samjhiye
Majnooni tho ehsaas ki awaaz hay, zaraa mehsoos tho kar lijiye...
By Kausar Sultana (Majnooni)

Comments