Teri Yaad Atti Hai
By Reshu Kalra
Baba tera ghar bada pyara hai.
Tere ghar ka har sadasya jaise aasman ka ek chamakta sitara hai.
Teri Yadon mein hi toh ab hum bitate din sara hai.
Tu kisi aur ka nahin abhi hamara hai.
Teri ghar ki har cheez mein hota teri mojudagi ka ehsaas hai.
Aisa lagta hai tu kahin aur nahin abhi hamare paas hai.
Aaj sab ke rango se bhare haath hai..
Hum sab ko bhi Khelni holi tere saath hai
Sochti hu tu aaega ,par ab toh har pal tutta mere vishwas hai.
Janti hu ki, ab tu nahin aayega
Thodha Samay lagega, phir shayad yeh dil bhi Samajh
Jaayega.
Yaad tu toh har pal aayega
Tere bina har lamha bhi guzar jaayega .
Magar tere bina Jeevan ka sahi Matlab ab kon hame samjhaayega?
By Reshu Kalra

Comments