Taajdaar
By Kausar Sultana (Majnooni)
Ab samajh aa raha hay..
Sab qhaali ho raha hay...
Pata he nahi tha jholi mein kya kya bhara rakha tha
Sab, ek ek karkay nikal raha hay...
Jholi phatnay lagi hay
Kaandhon par bojh sambhaala nahi ja raha hay
Bojh utthanay ko, qaabiliyat ka taaj banaa rakha tha,
Ab taaj bhi bojh lagnay laga hay.
Aap soch rahay hongay...
Taaj tho achha hota hay na?
Phir bojh kaisay banaa?
Jholi mein kya bharaa tha?
Aaiye, iss jholi ka mela laga hay
Dekhiye, yeh taaj kaisay bana hay
Jaaniye, yeh bojh kyon bangaya hay
Doosron ke jazbaat ko nazar-andaaz kiya kyonki qhudke jazbaat ko pehlay rakha.
Qhushi ka heera taaj mein sajaaya, doosron ki haai ko jholi mein chupaya.
Jholi se jab haai nikli, heeray ki qeemat bhaari padd gayi.
Doosron se rishtay ki ehmiyat ko nazar-andaaz kiya kyonki qhudse rishta banaaney mein mohlat lag gayi.
Wajood ka heera taaj mein sajaaya, rishton ko kaatkar, qhanjar ko jholi mein chupaya.
Jholi se jab qhanjar giri, heeray ki qeemat bhaari padd gayi.
Doosron ke zindagi ki tasweer mein unhonay mujhay shaamil kiya.
Mein apni tasweer banaane mein mashghool hogaya.
Tasweer ka heera taaj mein sajaaya, unkay rangon ko jholi mein chupaya.
Rung jab aansu bankar jholi se giray, heeray ki qeemat bhaari padd gayi.
Aisay he jholi bharti gayi
Aisay he taaj mein heeray sajaati gayi
Aisay he jholi bojh bangayi
Aisay he, Majnooni be-taaj hogayi.
By Kausar Sultana (Majnooni)

Comments