Suchai Ka Pariprekshya
By Adit Vyas
Such kya hai
Kya such vo dharm hai jisne duniya ko joda hai,
Ya vo kadwahat jisne rishto ko toda hai.
Such! Kya vo takat hai jo duniya ko chalati hai,
Ya vo zanjeer hai jo sabko bandhti hai.
Aankho dekha, kaano sunna, muh bola…
Akhir ye kaisa such hai.
Bhul gayi shayad ye duniya ki
Har zaban ka ek alag vakta hota hai,
Har kaan ka ek alag shrota hota hai,
Har nazar ka ek alag drashta hota hai,
Aur har ensaan ka ek alag nazariya hota hai.
Bhul gaye ki
Har baat ka ek maksad hota hai,
Har baat se juda ek maktub hota hai,
Har kisse ka ek dusra pehlu hota hai,
Aur har kahani mai chupa kuch mehroom hota hai.
Ye such ka such aakhir kaun bataye,
Sabh ka such dusre se alag hai.
Sabh ka such bas khud ko lubhata hai.
Ye such hi hai jo sabko baatata hai.
Ye such jisne duniya ko gulaam banaya hai,
Jiska aadhar kahin bhaag betha hai,
Jiska aadhar kahin gumha betha hai,
Kahin chupa betha hai, kissi kothari mai bandh dba betha hai.
Ye duniya jisse vo khafa betha hai, bhula betha hai.
Iss gulaamo ki duniya mai ye such ka such sabke pare hai.
Yahaan such mehez ek lavz bana betha hai.
A version a truth you possess,
a version possesses I.
Same and yet not alike.
What is this truth.....who knows...
By Adit Vyas

Comments