Subah Ke 5 Baje
Updated: Aug 2, 2025
By Gumnaam
anjaan aaj ki daud se
mera mustakbil mujse rooth gaya
gairo se rishte banate banaate apno ka saath chooth gaya
subah ke 5 baje h neend na jaane kaha atki hai
taraazu k kaate ki tarha zindai yaha kbhi waha kbhi beech me latki h
siyaane bno kaha tha, sab shaitaan ban rhe h
iss kaagaz ke tukde k liye aapas me lad rhe
soch ki duniya me mai sultan apne jahaanka,
par sultan ban kr bhi wo khushi nai mil paati jb ammi puche beta abtak kahaan tha
accha lagta h ye jaankr ki kisi ki aankhon ko chain milta h mere dedar se
kya bataun kaisa lgta h jb raat nanga badan sokr uthta hu dhaka chaadar se
ye sab mai unke liye hazaar baar b krlu fir bhi mujpe ye udhaar h
ham sab pighla hua loha h hote shukr h hamare maa baap hmari zindagi k lohaar h.
modern world ki aad me sab ashleel kaamo me kho rahe h
ghar bina chahel pahel ke khandar makaano me tabdeel horahe h
apne baccho ko umr bhar paal kr bhi ma baap zaleel horahe h
kuch kismat se khush,kuch kose apni takdeer rorahe h
By Gumnaam

Comments