Shayar Guzar Gaya
- Hashtag Kalakar
- May 9, 2023
- 1 min read
By Amir Husain
“Humko tha gumaan apna muqaddar sanwar gaya,
Woh Shakhs magar apni zuban se mukar gaya,
Ta-umr rakha jise humne sambhal kar,
Ek hi pal mein woh aashiyana bhikhar gaya,
Tohfe jo baant-ta tha lafzo ke gazal ke,
Kehte hai kal raat woh shayar guzar gaya.”
By Amir Husain

Comments