Samajh Nahi Aata
Updated: Sep 16, 2025
By Virat Mehta
Pighla pighla sa lagta hai tere nazdeek
Tu aag hai ya jaam hai, samajh nahi aata
Har taraf tu hi nazar aati hai har waqt
Tu khaas hai ya aam hai samajh nahi aata
Kho gaya hun.. bhool gaya hun khudko tujhmein
Ab kya mera naam hai samajh nahi aata
Ishq ke alawa aur bhi zariye the pehle mann lagane ke
Aajkal kya mujhe kaam hai samajh nahi aata
Kuch is kadar khayalon mein din guzar jaata hai
Ye subah hai ya shaam hai samajh nahi aata
Tere sang ghante ek pal, tere bagair ek lamha ek sadi
Waqt ka ye kaisa inteqaam hai, samajh nahi aata
Hua main madhosh teri ek nazar se
Par kyun teri aankhon pe ilzaam hai samajh nahi aata
Aasaan to hai ishq ka karobaar aapas mein
Ismein itna kyun taam jhaam hai samajh nahi aata
Nashe ke tareeke to kayi saare ijaad hain
Ek ye mohabbat hi kyun badnaam hai samajh nahi aata
By Virat Mehta

Comments