Salaah
By Archana A. Xetkar
Mummy ne kaha jara dhyan se
Papa ne kaha na rukna kabhi
Bhai ne kaha na jhukana kabhi
Bahan ne kaha na bhulna kabhi
Doston ne kaha muskan bhulna nahin,
Hum saath hai vahee
Rishtedaaron ne kaha aana hai yaheen
Dushman ne kaha hamase aage nahin
Dimag ne kaha himmat na haarana kabhee
Dil ne kaha khud ko khona nahin,
Zindagee ko hasate rahana,
Saphalta pas hai kaheen
By Archana A. Xetkar

Comments