Sadiq
By Maria Sufia
Yu nahi unse ishq kia karti hu
Unki har ek tafzeelat mushahida karti hu
Har baat unki jaise saansein ho taazi
Yu jeeke har lamha unpar marti hu
Wo has kar chupa dete baatein saari
Unki har qurbani dekha karti hu
Wo paani sa qarar kar dete mujhko
Jab aag bankar sulaghti hu
Kaise ada karungi ye qarz unka
Mai toh har dua mei shukr ada karti hu
Aisa ishq na kabhi dekha hai sadiq
Jaisa ishq mai usne karti hu
By Maria Sufia

Comments