Ranjishein
By Parikshit Kyada
Ye kahaani hai ek aashiq ki
jo apne Mehboob ko kho deta hai
aur janta hai, jo sapne sajaaye the
uske pure na hone ka gam kya hota hai
Jaaniye ek tute aashiq ka gam kya hota hai -
Do pal ka sukoon tha, Aur zindagi bhar ki yaadein.
Kuch lamho ka ishq tha , Aur janmo janam ke vaade .
Kaii ankahe alfaaz the, Kuch labo par hi chhut gaye
Vade the jo janmo ke, vo pal bhar me hi tuut gaye .
Jo kal tak ek lamha tha, vo aj ek yaad ban kar reh gayi
Jiski labo be tareef thi , uski aj sirf ek fariyad reh gayi .
Jab bharosa aur Pyaar, dono tujhpe beshaq tha
Fir Tere Pyaar me , mera bhi thoda haqq tha
Par Na aayi fir khushiyan kabhi, Naa hi aayi tu.
Karke Dil ko bekaabu , Tu ho gayi udanchu.
pukaar liya tujhe rab ne , shayad unhe bhi tujse karaar hoga.
ab sath nahi to kya hua, iss dil me tere liye ishq hamesha besawaar hoga.
Bass itna yaad rakhna ke
Tu hi mera pehla aur tu hi mera aakhri Pyaar hai,
Tu jannat me hai to kya hua , Iss dil ko aaj bhi tera hi intezaar hai.
By Parikshit Kyada

Comments