Parat
By Puja Kumari
Jhuth aur sach ke teelism mai sabne ye duniya rachayi hai,
To aaj yu hi sochte sochte, maine bhi ye gutthi suljhayi hai
Pehli parat m muskurahat, dusre mai khamoshi, teesre mai kadvahat sajayi hai,
Hum insano ne apni asaliyat kuchh is kadar chhupayi hai
Kudrat se mili sacchai aur bholapan kab ki sabne gawayi hai,
Apni safalta ki keemat kahin massomiyat se to nahi chukayi hai?
Band rakha hai dil mai bachha ek, jis par gile-shikwo ki kadi fasayi hai,
Galti se bhi na fisale wo, kosis bhi laakh aajmayi hai
Mann se aati aawaj ko rokte kyun ho tum, kis baat ki manahi hai ?
Asaliyat jo teri sab jaan bhi jayen to isme kyaa jaan par ban aayi hai?
Band kar rakha hai jinhone khud ko, unse door rehne mai hi teri bhalayi hai,
Jhakonge unke andar jitna, utni hi teri tabahi hai
Anteem samay jab aaye tera, sochna kitni duayein kamayi hai,
Maya ke is Bhawar mai kahin tumne apni aatma to nahi lutayi hai.
By Puja Kumari

Comments