Paani
Updated: Dec 2, 2022
By Kalp Raichura
Samundar ki lehron pe ek kaagaz ki kashti, behti ek bazm aawara si, kehti ek nazm aawara si,
“Aakhon se gire toh aansu, aasmaan se gire toh paani, zubaan se mile toh pyaas bujhe aur registaan se mile toh kahaani”.
Paani…
Ek shayar tha, kaagaz pe shayari likhke uski kashti banata tha aur dariya mein chhod deta tha, kehta tha ek din ek kashti lehron se bhidkar, apne naseeb se lad kar, uss paar zarur jaegi.
Kehta tha, “Kaagaz ki kashti mein ek shayari sawaar, pohchegi ek din samundar ke paar
meri kashti faani, alfaaz lafaani”..
Ek zikr shayar jo doob gaya
Ek zikr maashooq jo shehr gaya
Ek zikr aatish jo raakh hui
Ek zikr dariya jo tair gaya..
Kabhi zikr karta woh apne ishq ka
toh kabhi firdaus ki baatein karta tha,
kabhi likhta baatein qaamil si,
toh kabhi maut ki baatein karta tha.
O paani ek baat bata,
Woh door samundar shehr kiska hai?
Suna hai tute log wahan,
na jaagte hai na sote hai,
zinda laashon ka mela hai
toh un logon ko darr kiska hai?
Mil jaana ek din maine bhi,
dhul ho jaana, phir paani
doobna, tairna qismat ki baatein
par tu paar lagana meri kahaani.
Keh jaana ek din maine bhi,
dil mein jo kuch hai bhara hua,
Beh jaana ek din maine bhi
todd ghade ko, phir paani…
Mein paani ke iss paar ya uss paar,
mein shayar hu ye meri samjh se bahr,
Mein hu khoya, wo sheher bhi khaali,
Yu khudi ki talaash mein nikla sawaali,
Ae paani tu disha bana,
mere hone ki ek lehar udaa,
gar baat uthi toh lehar si uthe
Door talak jaaye, phir paani…
By Kalp Raichura

Comments