By Farhaad Hussain Ayubi
DESCRIPTION – Ye nazm Russian – Ukraine war par based hai. Is nazm mein maine 4 nazariya batane ki kosis ki hai jinka jung mein aksar istemaal hota hai. Wo 4 Nazariya hai Bomb ka, Goli ka, Sipahi ka or ek aam insaan ka.
Mai janta huu mai ek bum huu, jung mein pheka jaunga…
Bacche, burhe, aurton, in masumo par bemarzi zulm kar jaunga.
Kaash hota mujhme jaan to, main bhi ehtajaaz kar paata…
In sarfire hukmarano se, main bhi aankh milakar lar pata.
Mera istamaal hua hai kab kab, kab kab ki mai baat karu…
Jab bhi ek ziddi bhuka hua zahanat ko, tab tab wo pal mera “Pul Sirat” hua.
Shukraguzaar hun bum tera, tune aankh mera khol diya…
Mere pital jaisi jaan ko, tune sach ke pallu se tol diya.
Lahu hai nahi mere tann mein, lekin lahuluhan kar jaata huu…
In zaalimo ke hath ki katputli huun, ek nali se nikal ek jism channi kar jata huun.
Ab to ghinn aata hai, mujhe apne wajood par…
Ke kiyu hi mera ijaad hua, jiske hath aaya main wah bas barbaad hua.
Is wardi ko pahen kar, meri shakshiyat kiyun badal jati hai…
Itna sang dil to huu nahi, Fir niyat kiyu badal jati hai.
Agar hota mere hath mein faisla, to ye faisla main kar deta…
Khoon reji karne ke bajaay, main dosti kar leta.
Mai huun ek aam aadmi, aam se mere khwaab hain…
Chaar diwaro ka ghar ho, tastari mein rotiyan or ghunda mein aab ho.
Jung karte ho tum sabhi, mushkilo se hum do chaar hote hai…
Cheezon ki keemtein aasmaan chuti hain, tastariyaan hamare sune hote hain.
Chaar diwaar or chat bhi, tumhari aafton ka shikaar hota hai…
Kabhi hawaai hamle hote to, kabhi bum se duswaar hota hai.
Kahin maa baap ka saaya chinta hai, kahin waldein nanho ke liye bezaar hote hai…
Jung karte ho tum sabhi, mushkilo se hum do chaar hote hain.
Mera hara bhara gulistaan bhi, ab kabristaan sa malum hota hai…
Kai lashein bichi hoti hain, mitti laal sa malum hota hai.
Itna zaalim kiyu ho tum, itna sitam kiyu dhaate ho…
Khud rahte ho azeem mahlo mein, hume do gaz zameen na de paate ho.
Ghis gayi meri eriyaan, maar li thi maine marziyaan…
Jode the kuch paise or, laft – e – jigar ko lene bheji thi degriyaan.
Khabar aaya hai ke mera lafte – e – jigar aaj aa rha hai…
Lekin yeh sunkar behosh ho gayi uski maa, or tut gayi chudiyaan.
Jung karte ho tum sabhi, mushkilo se hum do chaar hote hai…
Hum jaise aam logon ke sath, fakat khilwaar hote hain.
Jung karte ho tum sabhi, mushkilo se hum do chaar hote hai…
Jung karte ho tum sabhi, mushkilo se hum do chaar hote hain.
By Farhaad Hussain Ayubi
Comentários