Naari Ki Paribhasha
- hashtagkalakar
- Mar 23, 2023
- 1 min read
By Aditi Pareek
Naari ki paribhasha batane aaya tha wo mujhe,
Per na jaane un Mardon ne kya kaha ki usne mujhse kuch baat na ki
Kehne aaya tha ki tu bojh hai dharti ka, Pita ne bs itna kaha ki guroor hai wo mera
Kehne aaya tha tu kamjor hai ae naari, Bhai ne btai thi bachpan ki ladai apni he jubaani
Kehne aaya tha tera koi wajood nhi, Pati ne kaha mera sansar isse he
Kehne aaya tha tu dhul hai sabke pairon ki, Bete se itna suna ki is dhul se to meri dharti bani
Kehne aaya tha shakhtiheen hai tu naari, Per bhul baitha tha Kaali ka roop hai ye naari
Kehne aaya tha tu kisi kaam ki nhi, Per yaad na thi use apne janm se jawani ki kahani
In sabhi baaton mein bs ek baat jag-jahir thi
Naari ki paribhasha jaane ki zarurat mujhe nhi use khudko thi
Naari prakrati ka swaroop hai
Janmdayini hai, buddhidhatri hai, kamarupini hai
Janm se maran tk kisi na kisi roop mein saathi hai
Ardhnarishwar bhi naari ke bina adhure hai
Asli mardon ne is sacchai ko bahkhoobi jana hai, Unhone Naari ka haath har haal mein thama hai
Aaj un sabhi purushon se usne ek baat to sikhi thi
Naari shabh ki paribaash ki kai bhashae hai, per Purush aur Naari ek dusare ke bina adhure hai
By Aditi Pareek
Comments