Na Tum The Na Mein Thi
- Hashtag Kalakar
- May 11, 2023
- 1 min read
By Sneha M
Na tum the ,na mein thi
Waha to bass hum the,
Na tum the na mein thi.
Raat tho bass chandani se bhari thi,
Dikhayi sirf muskurahte rahi thi,
Sunayi sirf dhadakane rahi thi,
Na tum the,na mein,
Waha chal tho bass sanse rahi thi.
Waqt tho kam bohot tha,
magar baaaton ki na kami thi.
Daar tho bohot tha
Magar tuze chune ki chahat thi
Na tum the na mein thi
Waha to bass hum the
Na kaal ka afsos,
Na kaal ki chahat,
Waha tho kisse sirf humare the.
Ankhon ki gustakhiya ,tere hato ki badmashiyan
Dheere se sawarti hui meri julfe.
The toh hum do margar
Razai ek ki oddi thi
Dar tho bohot tha, magar tuze chune ki chahat thi
Na tum the ,na mein thi
Waha tho bass hum the
Na teri na meri
Surkhiyon mein batein to sirf humare the
Vahi humare,purane ghar ke hawaon mein.
Abhi na tum ho ,na mein hu
Hai tho bas uss raat adhi si jali hui mombati ki nishaniyan,diwaron pe lehrati hui dil ki surakhiyan,bistar ki silwate,razzai aur mere baal dono ka bikhar na..
Na tum the ,na mein thi .
Us Tim timati chandani ki raat mein tho sirf hum the
Yeh najdikiyan ,yeh sannatein
tere sanse, tere band ankhe,
Tere badan ki mehek,tere galon ka rang,
joron se dhadak ta hua tera yeh dil,
Tere jism ki pyas
Beech mein se hawa bhi na gujar paye hum tere itne pass,
Haaayee!! Tere hoton ki mitas
Hhhmm na tum the na mein thi
Uss raat ke sannaton mein bass hum the...
Waha tho sirf hum the
By Sneha M

Comments